Srishti Mondol Aaj bhi Aaj bhi yaad aati hai vo din ki, jab pehli bar
Tujhe uss chote se taron Jaisi jhund mein
Chand se chamakta hue dekha tha
Woh pehla nazar, woh dil ka dharkan, woh anokha sa ahsaas
maano tham sa gaya tha samay
chaaro aur mainu to hai bas aas aas
fir himmat jutake baat ki toh baatein hui,
par zyanda mulkate nahi, kyunki dharkan tez ho jaati meri bas tujhe dekh ke
fir bhi jana tujhe kareeb se, teri saadgi
teri Muskaan, teri nazrey bhaa gyi mujhe har taarke se
janta hai tu mere dil ki har baat
fir bhi bas dost ban kar kehta hai har baat
par fir bhi khush hun mein ki kam se kam
hum mein ek Rishta hai jisse tune dosti ka naam diya hai
pata nahi kaise par aajkal meri din ki suruat
tere tasveer se hone lagi hai,
har did har pal, teri muskan, dil gudgaati hai
Tu dost hai mera nahi janta pura zamana bas kuch ek chroke
kyunki dar lagta hai mujhe ki nazar lag jayegi sabki hamare is rishte mei
Ajeeb dastan lagti hai mujhme
kaise tu pyaar se baat toh karta hai pyar nahi karta
tu samjhe ya na samjhe ye teri marzi
kyunki mere liye toh abhi sari khusi bas tu hi hai